Bezubaan hai dil
dard bata nahi sakta
namm aankhon me
chupa nahi sakta
khamosh labzon se
izhaar nahi kar sakta
betaab baahon me
samaa nahi sakta
bechain is jism me
basaa nahi sakta
mann ke malaal
ko dabaa nahi sakta
hoton ki nami
ko bhula nahi sakta
teri saanson pe ji raha tha
aage zindagi ka…..
..aage zindagi ka kuch bata nhi sakta!!♥
LikeLike